Internet Se Paise Kaise Kamaye – इंटरनेट से पैसे कैसे कमाए in Hindi

आज  इंटरनेट  पूरी  दुनिया  में  अपना  विस्तार  कर  रहा  है . हर  जगह  इंटरनेट  की  मदद  से  ही  काम  किया  जा  रहा  है . ऐसे  में  यह  प्रश्न  सभी  पूछते  हैं  की  इंटरनेट  से  पैसे  कैसे  कमाए  जाएं ? बेरोज़गार , विध्यार्ती , महिलाएं  और  मासिक  वेतन  पाने  वाले  लोग   भी  इंटरनेट  से  पैसा  कमाने  के  तरीके  जानना  चाहते  हैं . तो  आइये  जाने  वह  तरीके  जिनके  द्वारा  आप  इंटरनेट  से  पैसा  कमा  सकते  हैं .
मैं  आपको  कुछ  ऐसे  आइडियाज  और  टॉपिक्स  सुग्गेस्ट  करूँगा  की  जिससे  आप  इंटरनेट  के  थ्रू  बड़ी  आसानी  से   कुछ  म्हणत  करके  अच्छा  पैसा  कमा  सकते  है  और  आपको  100% पैसा  भी  मिलेगा . आप  लोगो  ने  इंटरनेट  से  पैसे  कमाने  के  बारे  में  सबसे  जायदा  ब्लॉग्गिंग , youtube, online Author, online teaching, online survey, Buy and sell products etc ke बारे  में  पढ़ा  होगा . में  आपको  इन  सब  के  अलावा  भी   ख़ास  और  सरल  आईडिया  बताऊंगा  क्योंकि  कभी  कभी  ब्लॉग्गिंग , टीचिंग , videos making etc सब  के  लिए  आसान  नहीं  होता  है . तो  चलिए  जानते  है  की  कैसे  करे .

Blogging kare

 yani internet par kisi bhi vishay par apne vichar likhna. Ise sab padhte hain. Yadi aap ke vichar doosron ko acche lage to dheere-dheere aapke lekhon ko padhne walon ki sankhya badhti jaati hai aur apka blog lokpriya ho jata hai. Jab apka blog lokpriya ho jata hai to companies apne products ka prachaar karne ke liye unka vigyapan aapke blog par dena chahati hain aur iske badle mein woh aapko accha paisa detee hain. Internet par aise kai sites hain jo aapko free blog banane deti hain. Iske saath hi kai baar publication companies blog mein likhe aapke lekhon, kavitaon ko khareed letee hain jisse accha paisa milta hia.

Shikshak bankar

Aap internet par online shikshak bankar bhi paisa kama sakte hain.  Aap apni  ruchi ke vishay mein notes banaiye. Apke pass computer ke saath web camera aur micro phone hona chahiye. Kuch website jaise www.tutorindia.net  aise hain jo aapki padhai aur aapki visheshtaon ke aadhar par aapko online shikshak banne ka mauka detee hain. In websites mein aap apna panjikaran karwakar online padhane ka kaam shuru kar sakte hain jisse apko accha paisa prapt ho sakta hai.

Kitab likhkar

Yadi aap lekhak hain aur upanyas ya kahani ki kitaab likhna chahte hain to aap Internet par usay likh sakte hain. Aapko apni kitab MS-Word mein type karni hogi. Iske baad kuch website jaise Amazon’s kindle, www.pothi.com aisi hai jo e-book banati hain jise internet par paise dekar padha jaata hai. Is prakar agar aapki book acchi hai to ise kafi saare log paisa dekar padhenge aur us kamai se ek bada hissa apko bhi milega.

Chitron ko bechkar

Agar aap achhe chitrakaar hain to aap chitrakari karke bhi internet se paisa kama sakte hain. Aap coffee cup, T-shirts, bag aadi ke liye  tarah-tarah ke designs banakar internet ki web site par daliye aur unhe bechiye. Iske liye kuch websites jaise www.zazzle.com hain jis par aap apne design bech sakte hain.

Rochak video banakar

Aapne koi na koi video YouTube par zaroor dekha hoga. YouTube duniya ki sabse badi video service hai jis par aap koi rochak video banakar upload kar sakte hain. Aap video mobile ya camera se bana sakte hain. Agar aapka video logon dwara pasand kiya gaya to usay bahut se log dekhenge aur tab YouTube aapke video par koi vigyapan bhi dikhayega jisse aapko paisa prapt hoga.

Takniki seva dekar

Yadi aap takniki visheshagya hain aur iske dwara paisa kamana chahte hain to internet par paise kama sakte hain. Kuch websites jaise oDesk, www.elance.com is tarah ka avsar pardan kartee hain. Isme website apko un logon se sampark karati hai jinhe takniki sevaon ki zaroorat hai aur aap Internet par sevayen dekar paisa kama sakte hain.

Affiliate marketing se paisa kamaye

Affiliate marketing meaning hai ki aap kisi bhi products company se jud kar us company ke products ko online advertising karke paisa kama sakte hai, jaise Amazon, snapdeal, ebay etc. Ye product companies aapko apne products ki kuch links or products details deti hai aap in links or details ko apne Blog, what’s app, Facebook etc par share karke advertising kare. Jab log aapki in links ke through products kharidenge to aapko un products ka kuch % commission milega. Es tarah se aap dhero products ko online sell karke accha paisa kama sakte hai.
अधिक पड़ने के लिए क्लिक करे  https://humlog01.blogspot.in/


कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें